Usko Aazadi Na Milne Ka Hamein Maqdur Hai
us ko aazadi na milne ka hamein maqdur hai
hum idhar majbur hain aur wo idhar majbur hai
shab ko chhup kar aaiye aana agar manzur hai
aap ke ghar se hamara ghar hi kitni dur hai
lakh minnat ki magar ek baat bhi munh se na ki
aap ki taswir bhi kitni baDi maghrur hai
is andheri raat mein ai shaiKH pahchanega kaun
band hai masjid ka dar to mai-kada kya dur hai
ek rashk-e-ghair ka sadma to uTh sakta nahin
aur jo farmaiye sab kuchh hamein manzur hai
mar gaya dushman to us ka sog tum ko kya zarur
kaun si ye rasm hai ye kaun sa dastur hai
zahid is ummid par milna hasinon se na chhoD
KHuld mein nadan tere hi liye kya hur hai
hashr ke din kya kahenge ye agar aaya KHayal
shikwa karna yar ka pas-e-wafa se dur hai
kuchh 'hafiz' aisa nahin jis se ki tum waqif na ho
aadmi wo to bahut maruf hai mashhur hai
(895) Peoples Rate This