Unki Ye Zid Ki Mere Ghar Mein Na Aae Koi
un ki ye zid ki mere ghar mein na aae koi
apni hi haT ki mujhe KHud hi bulae koi
wasl mein hae bigaD kar ye kisi ka kahna
hath TuTen jo hamein hath lagae koi
hashr mein dekh ke aamada-e-fariyaad mujhe
kahte hain tanz se ab in ko miTae koi
asl aur naql mein kya farq hai khul jae abhi
teri taswir jo yusuf se milae koi
kyun falak hum ko miTae jo tum itni kah do
gham-zadon ko na mohabbat ke satae koi
un ki rag rag mein zamane ki bhari hain ghaten
bhuli surat pe hasinon ki na jae koi
hae jhunjhla ke shab-e-wasl kisi ka kahna
nind aati hai hamein ab na jagae koi
but-kade mein to ye shaklen bhi nazar aati hain
shaiKH kabe mein dhara kya hai ki jae koi
parsai mein bhi nafrat hai rukhai se 'hafiz'
thoDi pi len jo mohabbat se pilae koi
(795) Peoples Rate This