Un Ko Dil De Ke Pashemani Hai
un ko dil de ke pashemani hai
ye bhi ek tarah ki nadani hai
wasl se aaj naya hai inkar
tum ne kab baat meri mani hai
aap dete hain tasalli kis ko
hum ne ab aur hi kuchh Thani hai
haal bin puchhe kahe jata hun
apne matlab ki ye nadani hai
kis qadar bar hun gham-KHwaron par
kya subuk meri giran-jaani hai
ghar bula kar wo mujhe lauTte hain
ye nai tarah ki mehmani hai
hum se wahshat ki na le o majnun
hum ne bhi KHak bahut chhani hai
KHak uDti hai jidhar jata hun
kya muqaddar ki pareshani hai
ghar bhi virana nazar aata hai
hae kya be-sar-o-samani hai
aai kyun un ki shikayat lab tak
hum ko KHud us ki pashemani hai
kahin do din na raha jam ke 'hafiz'
ek aawara hai sailani hai
(815) Peoples Rate This