Subh Ko Aae Ho Nikle Sham Ke
subh ko aae ho nikle sham ke
jao bhi ab tum mere kis kaam ke
hatha-pai se yahi matlab bhi tha
koi munh chume kalai tham ke
tum agar chaho to kuchh mushkil nahin
Dhang sau hain nama-o-paigham ke
chheD waiz har ghaDi achchhi nahin
rind bhi hain ek apne nam ke
qahr Dhaegi asiron ki taDap
aur bhi uljhenge halqe dam ke
mohtasib chun lene de ek ek mujhe
dil ke TukDe hain ye TukDe jam ke
lakhon dhaDke ibtida-e-ishq mein
dhyan hain aaghaz mein anjam ke
mai ka fatwa to sahi qazi se lun
Tok kar raste mein daman tham ke
dur daur-e-mohtasib hai aaj-kal
ab kahan wo daur-daure jam ke
nam jab us ka zaban par aa gaya
rah gaya naseh kaleja tham ke
dur se nale mere sun kar kaha
aa gae dushman mere aaram ke
hae wo ab pyar ki baaten kahan
ab to lale hain mujhe dushnam ke
wo lagaen qahqahe sun kar 'hafiz'
aap nale kijiye dil tham ke
(837) Peoples Rate This