Shab-e-wasl Hai Bahs Hujjat Abas
shab-e-wasl hai bahs hujjat abas
ye shikwe abas ye shikayat abas
hua un ko kab e'timad-e-wafa
jatate rahe hum mohabbat abas
yahan ab to kuchh aur saman hai
wo aate hain bahr-ayaadat abas
nasibon se apne hai shikwa hamein
karen kyun kisi ki shikayat abas
mera haal sun kar wo hain be-qarar
kiya kis ne zikr-e-mohabbat abas
falak mar-miTon se na rakh ye ghubar
miTa be-kason ki na turbat abas
sununga teri hosh mein aa to lun
abhi se hai naseh nasihat abas
ye parda hasinon ko lazim na tha
chhupati hain ye achchhi surat abas
wo pahle suluk aap ke yaad hain
mere haal par ab inayat abas
takalluf mein phir wo kahan sadgi
ye aaraish-e-husn-o-zinat abas
'hafiz' is zamin mein kaho sher kam
dikhao na zor-e-tabiat abas
(936) Peoples Rate This