Shab-e-visal Ye Kahte Hain Wo Suna Ke Mujhe
shab-e-visal ye kahte hain wo suna ke mujhe
kisi ne luT liya apne ghar bula ke mujhe
pukarta nahin koi lahad par aa ke mujhe
mere nasib bhi kya so rahe sula ke mujhe
wo bole wasl ke shab aap mein na pa ke mujhe
chale gae hain kahan apne ghar bula ke mujhe
gira diya hai kuchh is tarah us ne aankhon se
ki dekhta nahin koi nazar uTha ke mujhe
pari thi koi chhalawa thi ya jawani thi
kahan ye ho gai champat jhalak dikha ke mujhe
tumhaari bazm mein aae to jam-e-mai mujh tak
bala se de de koi zahr hi mila ke mujhe
uTha jo bazm se un ki to rok kar ye kaha
ki le chale ho kahan dil mein tum chhupa ke mujhe
ye tere hijr ka gham tha wo tere ishq ka dagh
gaya jo kha ke mujhe jo miTa miTa ke mujhe
jahan pe jate hue mere hosh uDte hain
tera KHayal wahan le chala laga ke mujhe
mujhe hai ghash unhen hairat ajib aalam hai
main kho gaya hun unhen dekh kar wo pa ke mujhe
meri nigah mein phirti hai meri maut ki shakl
jab aap dekhte hain tewriyan chaDha ke mujhe
na dekho aaina dekho mera kaha mano
dikhao ghair ko surat na munh dikha ke mujhe
taDap le dil ki ye kah kah ke koi aata hai
biTha diya hai lahad mein uTha uTha ke mujhe
gale laga de karun pyar teri tegh ko main
ki yaad aae karishme teri ada ke mujhe
ye mere rone pe hansti hai kyun meri taqdir
wo apne dil mein to kuDhte nahin rula ke mujhe
jo miTTi di hai to ab fatiha bhi paDhte jao
kuchh ab sawab bhi lo KHak mein mila ke mujhe
'hafiz' hashr mein kar hi chuka tha main fariyaad
ki us ne DanT diya samne se aa ke mujhe
(783) Peoples Rate This