Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c2baa26b0ec0583065e742385957b857, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Shab-e-visal Lagaya Jo Un Ko Sine Se - Hafeez Jaunpuri Poetry In English - Darsaal

Shab-e-visal Lagaya Jo Un Ko Sine Se

shab-e-visal lagaya jo un ko sine se

to hans ke bole alag baiThiye qarine se

sawab ho ki na ho is se kya gharaz zahid

maza mila mujhe tujh ko pila ke pine se

shab-e-firaq ye ehsan hai tasawwur ka

ki so raha hun laga kar kisi ko sine se

falak miTaega mujh ko jo tum mukaddar ho

adawat us ki baDhegi tumhaare kine se

gham-e-firaq mein kya lutf-e-zindagi hai 'hafiz'

hamein to maut hi behtar hai aise jine se

(777) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shab-e-visal Lagaya Jo Un Ko Sine Se In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Shab-e-visal Lagaya Jo Un Ko Sine Se is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Shab-e-visal Lagaya Jo Un Ko Sine Se for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Shab-e-visal Lagaya Jo Un Ko Sine Se in PDF.