Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_818888a74ff9cafd01578ef230c5b42a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sadme Jo Kuchh Hon Dil Pe Sahiye - Hafeez Jaunpuri Poetry In English - Darsaal

Sadme Jo Kuchh Hon Dil Pe Sahiye

sadme jo kuchh hon dil pe sahiye

puchhe bhi koi to chup hi rahiye

be-sabr hi kah ke ruk gae kyun

kahiye kahiye kuchh aur kahiye

aaKHir kab tak ye be-niyazi

insaf se aap hi na kahiye

mar hi jaane ki baat hai ye

mere liye aap zulm sahiye

aankhon mein ghurur hai kisi ka

kis tarah kisi se dab ke rahiye

sunne ki jo baat ho wo suniye

kahne ki jo baat ho wo kahiye

rone ko paDi hai umr sari

chhaalon ki tarah na phuT bahiye

suniye jo 'hafiz' ki musibat

ro dijiye aap mein na rahiye

(823) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sadme Jo Kuchh Hon Dil Pe Sahiye In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Sadme Jo Kuchh Hon Dil Pe Sahiye is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Sadme Jo Kuchh Hon Dil Pe Sahiye for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Sadme Jo Kuchh Hon Dil Pe Sahiye in PDF.