Qasid KHilaf-e-KHat Kahin Tera Bayan Na Ho
qasid KHilaf-e-KHat kahin tera bayan na ho
karna sambhal ke baat ki wo bad-guman na ho
nalon ka mere aaTh-pahr imtihan na ho
Darte nahin ki ek zamin aasman na ho
tohmat ho bhul-chuk ki paighambar ke sar
shikwon ka lutf kya jo koi darmiyan na ho
nalon se laD rahi hai sada-e-jaras jo aaj
gum-karda-rah koi pas-e-karwan na ho
sau sun ke ek bhi na kahen hum baja durust
us se ye kahiye aae ki jis ke zaban na ho
ab tak wo yaad hain meri agli inayaten
bas bas hamare haal pe tu mehrban na ho
chhuTi teri gali to ye mujh ko yaqin hua
jannat hai wo jahan sitam-e-asman na ho
karte hain ek ek se meri shikayaten
sirf is KHayal se ki koi bad-guman na ho
ye kya ki sar chaDha ke nazar se gira diya
ab mehrban hue ho to na-mehrban na ho
dil ko kahan hai sadma-e-rashk-e-adu ki tab
sau imtihan hain aur ye ek imtihan na ho
marna phaDak phaDak ke gawara sahi magar
itna to ho qafas mein gham-e-ashiyan na ho
kabe mein but-kade mein KHarabaat mein rahe
insan wo hai kahin jo kisi par garan na ho
apni bhi sar-guzasht hai ik-tarfa dastan
barson suno to nisf ye qissa bayan na ho
dil se hai dil ko rah ye sach hai agar 'hafiz'
mumkin nahin KHayal yahan ho wahan na ho
(845) Peoples Rate This