Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_49f05f82f66a374f0f54c6344057637a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Patthar Se Na Maro Mujhe Diwana Samajh Kar - Hafeez Jaunpuri Poetry In English - Darsaal

Patthar Se Na Maro Mujhe Diwana Samajh Kar

patthar se na maro mujhe diwana samajh kar

aaya hun idhar kucha-e-jaanana samajh kar

kahte hain ye rone se lagi dil ki bujhegi

samjhate hain apna mujhe parwana samajh kar

main wo hun ki seri mujhe hoti nahin mai se

dena mere saqi mujhe paimana samajh kar

naKHwat se jo ek baat na sunte the hamari

KHud chheD rahe hain hamein diwana samajh kar

hum un ke hain dil un ka hai jaan un ki hai lekin

phir munh ko chhupate hain wo begana samajh kar

rakkha na kahin ka hamein barbaadi-e-dil ne

arman Thaharte nahin virana samajh kar

dekh aap se bahar na ho mansur ki surat

karna hai to kar nara-e-mastana samajh kar

hum aur hi kuchh DhunDte phirte hain buton mein

but-KHane mein jate nahin but-KHana samajh kar

KHuban se paTe ya na paTe wasl ka sauda

dil pahle hi le lete hain baiana samajh kar

saqi ki jo aankhon ko hui bazm mein gardish

hum lauT gae gardish-e-paimana samajh kar

kah jate 'hafiz' un ko ho tum josh mein kya kuchh

wo tarah diye jate hain diwana samajh kar

(948) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Patthar Se Na Maro Mujhe Diwana Samajh Kar In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Patthar Se Na Maro Mujhe Diwana Samajh Kar is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Patthar Se Na Maro Mujhe Diwana Samajh Kar for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Patthar Se Na Maro Mujhe Diwana Samajh Kar in PDF.