Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a2472f587f1d413004fdf2906c001982, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Na Aa Jae Kisi Par Dil Kisi Ka - Hafeez Jaunpuri Poetry In English - Darsaal

Na Aa Jae Kisi Par Dil Kisi Ka

na aa jae kisi par dil kisi ka

na ho yarab koi mail kisi ka

laga ek hath bhi kya dekhta hai

kahin karte hain Dar qatil kisi ka

ada se us ne do baaten bana kar

kisi ki jaan le li dil kisi ka

uTha jab dard-e-pahlu dil pukara

nahin koi dam-e-mushkil kisi ka

abhi jina paDa kuchh din hamein aur

Tala phir wada-e-baatil kisi ka

bahut aahista chilman ko uThana

milen aankhen ki baiTha dil kisi ka

'hafiz' is tarah bharte ho jo aahen

dukhaoge magar tum dil kisi ka

(707) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Aa Jae Kisi Par Dil Kisi Ka In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Na Aa Jae Kisi Par Dil Kisi Ka is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Na Aa Jae Kisi Par Dil Kisi Ka for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Na Aa Jae Kisi Par Dil Kisi Ka in PDF.