Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ee40a7bbdc6c9008dd72aa00bf4832c9, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Munh Mera Ek Ek Takta Tha - Hafeez Jaunpuri Poetry In English - Darsaal

Munh Mera Ek Ek Takta Tha

munh mera ek ek takta tha

us ki mahfil mein main tamasha tha

hum jo tujh se phiren KHuda se phiren

yaad hai kuchh ye qaul kis ka tha

wasl mein bhi raha firaq ka gham

sham hi se sahar ka khaTka tha

apni aankhon ka kuchh qusur nahin

husn hi dil-fareb is ka tha

fatiha paDh rahe the wo jab tak

meri turbat par ek mela tha

nama-bar nama jab diya tu ne

kuchh zabani bhi us ne puchha tha

ab kuchh is ka bhi eatibar nahin

pahle dil par baDa bharosa tha

wo jo ruk ruk ke puchhte the haal

dil mein rah rah ke dard uThta tha

juTha wada bhi ai 'hafiz' un ka

zindagi ka meri sahaara tha

(764) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Munh Mera Ek Ek Takta Tha In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Munh Mera Ek Ek Takta Tha is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Munh Mera Ek Ek Takta Tha for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Munh Mera Ek Ek Takta Tha in PDF.