Mere Aibon Ki Islahen Hua Kin Bahas-e-dushman Se
mere aibon ki islahen hua kin bahas-e-dushman se
liya hai rahbar ka kaam aksar main ne dushman se
wo moti hun jo kho jata hai sahil mein samundar ke
wo dana hun bikhar ke dur hota hai jo KHirman se
faza sahra ki aankhon se jo dekhen hain wo kah denge
gul-e-KHud-rau ka aalam kam nahin gul-ha-e-gulshan se
kisi ki dosti yun KHak mein koi milata hai
mere bare mein tum aur mashware lete ho dushman se
tamasha dekhiye mahshar mein qatil mujh se laDta hai
ki apne KHun ka dhabba chhuDa de mere daman se
zamin se aasman tak chha rahi jo ye udasi hai
bagula koi uTTha hai kisi bekas ke madfan se
qarib-e-dar pahunch kar yun ghash aane ka sabab aaKHir
ye mumkin hai jhalak us ki nazar aai ho chilman se
har aafat se chaman mahfuz hai ab to ye sunta hun
adawat barq-e-sarsar ko thi mere hi nasheman se
gharaz kya bahas-o-hujjat se hamara to ye mashrab hai
jahan tak ho kinare hi rahe shaiKH-o-barahman se
'hafiz' us ko samajh le KHub hain ye kaam ki baaten
agar rifat-talab hai jhuk ke mil har dost dushman se
(867) Peoples Rate This