Koi Jahan Mein Na Yarab Ho Mubtala-e-firaq

koi jahan mein na yarab ho mubtala-e-firaq

kisi ki jaan ki dushman na ho bala-e-firaq

hazar tarah ke sadme ise gawara hain

magar uTha nahin sakta hai dil ja-e-firaq

labon pe jaan hai ab sadma-ha-e-duri se

KHabar visal ki deti hai ibtida-e-firaq

zaban band hai ye josh-e-gham ka aalam hai

bayan ho nahin sakta hai majra-e-firaq

karen jo zabt kaleja sarahiye un ka

ki aasman ko bulate hain nala-ha-e-firaq

juda 'hafiz' hua kaun tere pahlu se

labon par aaTh-pahr hai jo hae hae firaq

(831) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Jahan Mein Na Yarab Ho Mubtala-e-firaq In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Koi Jahan Mein Na Yarab Ho Mubtala-e-firaq is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Koi Jahan Mein Na Yarab Ho Mubtala-e-firaq for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Koi Jahan Mein Na Yarab Ho Mubtala-e-firaq in PDF.