Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4d81bc2446534c8df3d125268889308d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KHud-baKHud Aankh Badal Kar Ye Sawal Achchha Hai - Hafeez Jaunpuri Poetry In English - Darsaal

KHud-baKHud Aankh Badal Kar Ye Sawal Achchha Hai

KHud-baKHud aankh badal kar ye sawal achchha hai

roz kab tak koi puchha kare haal achchha hai

hijr mein aish-e-guzishta ka KHayal achchha hai

ho jhalak jis mein KHushi ki wo malal achchha hai

wasl se aap ka arman-e-visal achchha hai

is ka anjam bura us ka maal achchha hai

dagh behtar hai wahi ho jo dil-e-ashiq mein

jo rahe aariz-e-KHuban pe wo KHal achchha hai

dekh in KHak ke putlon ki adaen zahid

in se kis baat mein huron ka jamal achchha hai

kijiye aur bhi shikwe ki miTe dil ka ghubar

baaton baaton mein nikal jae malal achchha hai

tandurusti se to behtar thi meri bimari

wo kabhi puchh to lete the ki haal achchha hai

jo nigahon mein sama jae wo surat achchhi

jo KHaridar ko jach jae wo mal achchha hai

chaara-gar ko mere ye bhi nahin tamiz abhi

kaun sa haal bura kaun sa haal achchha hai

de KHuda zar to koi mai-kada aabaad karen

achchhe kaamon mein jo ho sarf wo mal achchha hai

hans ke kahte hain kabhi hath se uDne ka nahin

tair-e-rang-e-hina be-par-o-baal achchha hai

jo na nikle kabhi dil se wo tamanna achchhi

jo na aae kabhi lab tak wo sawal achchha hai

hasrat aati hai hamein haal par apne kya kya

sunte hain jab kisi bimar ka haal achchha hai

hur ke zikr par aaina uTha kar dekha

is se ima hai ki mera hi jamal achchha hai

aarzu meri na puri ho koi baat hai ye

kash itna wo samajh len ki sawal achchha hai

muft milta hai KHarabaat mein har mai-kash ko

Tharra pine ke liye jam-e-sifal achchha hai

saikDon barq-jamalon ka guzar hota hai

tur-e-sina se mera baam-e-KHayal achchha hai

hun gada-e-dar-e-mai-KHana takalluf se bari

TuTa-phuTa ye mera jam-e-sifal achchha hai

haal sunte nahin be-KHud hain ye masjid wale

in se kuchh mai-kade walon hi ka haal achchha hai

dafatan tark-e-mohabbat mein zarar hai ji ka

rafta rafta jo miTe dil se KHayal achchha hai

ab ke har shahr mein phaila hai jo taun 'hafiz'

marne walon ko KHushi hai ki ye sal achchha hai

(877) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHud-baKHud Aankh Badal Kar Ye Sawal Achchha Hai In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. KHud-baKHud Aankh Badal Kar Ye Sawal Achchha Hai is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem KHud-baKHud Aankh Badal Kar Ye Sawal Achchha Hai for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download KHud-baKHud Aankh Badal Kar Ye Sawal Achchha Hai in PDF.