Jab Tak Ki Tabiat Se Tabiat Nahin Milti

jab tak ki tabiat se tabiat nahin milti

hon pyar ki baaten bhi to lazzat nahin milti

aaram ghaDi-bhar kisi karwaT nahin milta

rahat kisi pahlu shab-e-furqat nahin milti

jab tak wo khinche baiThe hain dil un se ruka hai

jab tak nahin milte wo tabiat nahin milti

jite hain to hoti hai un aankhon se nadamat

marte hain to us lab se ijazat nahin milti

us zohd par nazan na ho zahid se ye kah do

tasbih phirane hi se jannat nahin milti

kya DhunDhte hain gor-e-ghariban mein wo aa kar

kis Kushta-e-raftar ki turbat nahin milti

kis tarah mere ghar wo 'hafiz' aaen ki un ko

ghairon ki mudaraat se fursat nahin milti

(805) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Tak Ki Tabiat Se Tabiat Nahin Milti In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Jab Tak Ki Tabiat Se Tabiat Nahin Milti is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Jab Tak Ki Tabiat Se Tabiat Nahin Milti for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Jab Tak Ki Tabiat Se Tabiat Nahin Milti in PDF.