Jaan Hi Jae To Jae Dard-e-dil
jaan hi jae to jae dard-e-dil
ek yahi hai ab dawa-e-dard-e-dil
ab taDapne mein maza milta nahin
ho chali jaan aashna-e-dard-e-dil
imtihan-e-zabt hai manzur aaj
jis qadar chahe satae dard-e-dil
bhagti hai dur jis se maut bhi
wo bala hai ye bala-e-dard-e-dil
rahm kab aaya kisi be-dard ko
ho chuki jab intiha-e-dard-e-dil
kha ke kuchh so rahte hain hirman-nasib
ek ye bhi hai dawa-e-dard-e-dil
hum marizon ka nahin mumkin ilaj
la-dawa hain mubtala-e-dard-e-dil
rahti hai sine hi par taswir-e-dost
hai ye tawiz ek bara-e-dard-e-dil
rote rote bandh gai hichki 'hafiz'
jab kaha kuchh majra-e-dard-e-dil
(757) Peoples Rate This