Isi KHayal Se Tark Unki Chah Kar Na Sake

isi KHayal se tark un ki chah kar na sake

kahenge log ki do din nibah kar na sake

hamein jo dekh liya jhuk gai haya se aankh

idhar-udhar sar-e-mahfil nigah kar na sake

KHuda ke samne aaya kuchh is ada se wo shoKH

ki munh se uf bhi zara dad-KHwah kar na sake

tere karam ka bharosa hi zahidon ko nahin

isi liye to ye khul kar nigah kar na sake

raha ye pas hamein aap ki nazakat ka

ki dil ka KHun hua munh se aah kar na sake

tumhein 'hafiz' se nafrat hai to ye fikr hai kyun

kisi hasin se wo rasm-o-rah kar na sake

(689) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Isi KHayal Se Tark Unki Chah Kar Na Sake In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Isi KHayal Se Tark Unki Chah Kar Na Sake is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Isi KHayal Se Tark Unki Chah Kar Na Sake for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Isi KHayal Se Tark Unki Chah Kar Na Sake in PDF.