Duniya Mein Yun To Har Koi Apni Si Kar Gaya
duniya mein yun to har koi apni si kar gaya
zinda hai us ka nam kisi par jo mar gaya
subh-e-shab-e-visal hai aaina hath mein
sharma ke kah rahe hain ki chehra utar gaya
saqi ki baDh chali hain jo be-iltifatiyan
shayad hamari umr ka paimana bhar gaya
itna to jaante hain ki pahlu mein dil nahin
us ki KHabar nahin ki kahan hai kidhar gaya
hum se jo aap ruTh ke jate hain jaiye
sun lijiyega zahr koi kha ke mar gaya
jata raha shabab to kuchh sujhne lagi
aankhen khulin sharab ka nashsha utar gaya
naseh kahan ka chheD diya tu ne aa ke zikr
us ka KHayal phir mujhe bechain kar gaya
do din mein ye mizaj ki haalat badal gai
kal sar chaDha tha aaj nazar se utar gaya
achchha hua jo aap ayaadat ko aa gae
sar ka ye ek bojh tha wo bhi utar gaya
tere mariz-e-hijr ka ab to ye haal hai
aaya jo dekhne ko wo ba-chashm-e-tar gaya
chheDa kisi ne zikr-e-mohabbat jo ai 'hafiz'
dil par ajib tarah ka sadma guzar gaya
(962) Peoples Rate This