Diya Jab Jam-e-mai Saqi Ne Bhar Ke
diya jab jam-e-mai saqi ne bhar ke
to pachhtae bahut hum tauba kar ke
lipaT jao gale se waqt-e-aKHir
ki phir jita nahin hai koi mar ke
wahan se aa ke us ki bhi phiri aankh
wo tewar hi nahin ab nama-bar ke
koi jab puchhta hai haal dil ka
to ro dete hain hum ek aah bhar ke
gulon ke ishq mein de jaan bulbul
are ye hausle ek musht par ke
KHuda mahfuz rakkhe un ki zid se
jo kahte hain dikha dete hain kar ke
rahenge KHak mein hum ko mila kar
tere andaz is nichi nazar ke
dimagh apna na kyun kar arsh par ho
ye samjho to gada hain kis ke dar ke
hui hai qaid se bad-tar rihai
kiya aazad us ne par katar ke
uThe jate hain lo duniya se hum aaj
miTe jate hain jhagDe umr bhar ke
'hafiz' ab nala o fariyaad chhoDo
koi din yun bhi dekho sabr kar ke
(861) Peoples Rate This