Diwane Hue Sahra Mein Phire Ye Haal Tumhaare Gham Ne Kiya
diwane hue sahra mein phire ye haal tumhaare gham ne kiya
afsos magar is baat ka hai kya tum ne kiya kya hum ne kiya
jab bhaDki hai aatish-e-dagh-e-jigar sard us ko dida-e-nam ne kiya
shadab chaman mein phulon ko har sham-o-sahar shabnam ne kiya
achchhi hui ab ki bari ye hui in baaton ko KHud hi samjho
ilzam hamein kya dete ho jo tum ne kaha wo hum ne kiya
tarik hui sari duniya kya maut hui mujh bekas ki
kam aise hue hain shahid-e-wafa gham jin ka ek aalam ne kiya
qismat ki tarah ye dil na phira kabe se bhi ulTe panw phire
aankhon mein gali wo phirne lagi be-KHud ye tawaf haram ne kiya
kya aisi wafa par naz karun jo bais ho ruswai ki
ye baat hui mar jaane ki bad-nam kisi ko sitam ne kiya
ghurbat mein tumhaari turbat par rone ko 'hafiz' aata koi
ab shukr karo aansu to puchhe chhiDkaw bhi abr-e-karam ne kiya
(789) Peoples Rate This