Chaak-e-daman Na Raha Chaak-e-gareban Na Raha
chaak-e-daman na raha chaak-e-gareban na raha
phir bhi poshida mera haal-e-pareshan na raha
bazm-e-dushman na kabhi darham-o-barham dekhi
kya tera daur wo ai gardish-e-dauran na raha
mujh ko afsos ki wo aur adu ke bas mein
us ko ye gham ki mera ab koi pursan na raha
hum ne jo baat kahi thi wahi aaKHir ko hui
tum ne jo raaz chhupaya tha wo pinhan na raha
munfail tark-e-wafa ne mujhe barson rakkha
chaar din apne kiye par wo pasheman na raha
un ki shoKHi bhi hui hai meri wahshat ka jawab
hath Dala jo gareban mein gareban na raha
ban gai dagh kaleje ka tamanna-e-visal
dagh-e-hasrat ke siwa ab koi arman na raha
KHair sab qaul-o-qasam jhuT sahi KHush rahiye
ab mere aap ke wo ahd wo paiman na raha
rokne ko mujhe ghairat ke siwa is dar par
koi darban na raha koi nigahban na raha
miT gaya shaghl-e-junun ab wo kahan jama-dari
zor wahshat ka bhi ab dast-o-gareban na raha
chaar jhiDki mein tere dar se alag ho baiTha
ghair kuchh rose bhi minnat-kash-e-darban na raha
waqt ko hath se kho kar koi duniya mein 'hafiz'
umr-bhar meri tarah sar-ba-gareban na raha
(1317) Peoples Rate This