But-kada Nazdik Kaba Dur Tha
but-kada nazdik kaba dur tha
main idhar hi rah gaya majbur tha
sham hi se hum kahin jate the roz
muddaton apna yahi dastur tha
wo kiya jis mein KHushi thi aap ki
wo hua jo aap ko manzur tha
kuchh adab se rah gae nale idhar
kya bataen arsh kitni dur tha
jis ghaDi tha us ke jalwe ka zuhur
arsh ka ham-sang koh-e-tur tha
ek hasin ka aa gaya jo tazkira
der tak mahfil mein zikr-e-hur tha
wasl ki shab thi shab-e-mearaj kya
dur tak phaila hua ek nur tha
har kas-o-na-kas se kya milti nigah
apni aankhon mein but-e-maghrur tha
umr bhar fikr-e-suKHan mein tha 'hafiz'
shaeri ka dil mein ek nasur tha
(1095) Peoples Rate This