BigaD Jate The Sun Kar Yaad Hai Kuchh Wo Zamana Bhi
bigaD jate the sun kar yaad hai kuchh wo zamana bhi
koi karta tha jab meri shikayat ghaebana bhi
wo jis par mehrban hote hain duniya us ki hoti hai
nazar un ki palaTte hi palaTta hai zamana bhi
suna karta hun tane hijr mein kya kya raqibon ke
bana hun is mohabbat mein malamat ka nishana bhi
yahan bhi farz hai zahid adab se sar jhuka lena
mere nazdik kaba hai kisi ka aastana bhi
fareb-e-dam mein lai hai kuchh sayyaad ki KHatir
qafas mein khinch kar laya hamein kuchh aab-o-dana bhi
jala kar dil mera sayyaad ka ThanDa kaleja kar
kahin ai barq jaldi phunk mera aashiyana bhi
bigaDte der hoti hai na bante der hoti hai
mizaj-e-yar se kuchh milta-julta hai zamana bhi
hasin paDh kar ghazal meri mere mushtaq hote hain
musaKHKHar dil ko karta hai kalam-e-ashiqana bhi
na bhulegi hafiz ahbab ko ye sarguzisht apni
jahan mein yaad rah jaega kuchh apna fasana bhi
(768) Peoples Rate This