Ajab Zamane Ki Gardishen Hain KHuda Hi Bas Yaad Aa Raha Hai
ajab zamane ki gardishen hain KHuda hi bas yaad aa raha hai
nazar na jis se milate the hum wahi ab aankhen dikha raha hai
baDhi hai aapas mein bad-gumani maza mohabbat ka aa raha hai
hum us ke dil ko TaTolte hain to hum ko wo aazma raha hai
ghar apna karti hai na-umidi hamare dil mein ghazab hai dekhiyo
ye wo makan hai ki jis mein barson umidon ka jamghaTa raha hai
badal gaya hai mizaj un ka main apne is jazb-e-dil ke sadqe
wahi shikayat hai ab udhar se idhar jo pahle gila raha hai
kisi ki jab aas TuT jae to KHak wo aasra lagae
shikasta dil kar ke mujh ko zalim nigah ab kya mila raha hai
yahan to tark-e-sharab se KHud dil-o-jigar phunk rahe hain waiz
suna ke dozaKH ka zikr-e-nahaq jale ko tu bhi jala raha hai
karun na kyun husn ka nazara sunun na kyun ishq ka fasana
isi ka to mashghala tha barson isi ka to walwala raha hai
umid jab had se baDh gai ho to hasil us ka hai na-umidi
bhala na kyun yas dafatan ho ki muddaton aasra raha hai
mujhe tawaqqoa ho kya KHabar ki zaban hai qasid ki hath bhar ki
lagi hawa tak nahin udhar ki abhi se baaten bana raha hai
zara yahan jis ne sar uThaya ki us ne nicha use dikhaya
koi batae to ye zamana kasi ka bhi aashna raha hai
'hafiz' apna kamal tha ye ki jis ke hathon zawal dekha
falak ne jitna hamein baDhaya ziyaada us se ghaTa raha hai
(785) Peoples Rate This