Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f8bcf4533fd74553144744b839eb94fb, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ada Pariyon Ki Surat Hur Ki Aankhen Ghazalon Ki - Hafeez Jaunpuri Poetry In English - Darsaal

Ada Pariyon Ki Surat Hur Ki Aankhen Ghazalon Ki

ada pariyon ki surat hur ki aankhen ghazalon ki

gharaz mange ki har ek chiz hai in husn walon ki

bajae-raqs mai-KHane mein hai gardish pyalon ki

takalluf-bar-taraf ye bazm hai allah walon ki

nishan jab miT gaya turbat ka aae fatiha paDhne

unhen kab yaad aai hain wafaen marne walon ki

hua do gaz kafan munim ko hasil mal-e-duniya se

bandhi rakkhi hi aaKHir rah gai gaThri doshaalon ki

dukha kar dil mera phir aap hi uzr-e-jafa karna

are kafir teri ek chaal hai ye lakh chaalon ki

abhi tum ko bahut kuchh naz hai tirchhi nigahon par

magar dekhi nahin tasir tum ne mere nalon ki

tere hote hue ye baat ghairat ki hai o zalim

uDae aasman yun KHak teri paemalon ki

bhale hain ya bure jo kuchh hain bande to KHuda ke hain

nadamat is qadar waiz na kar mai-KHane walon ki

hui bauchhaar mujh par shikwa-e-beja ki phir kya kya

jahan chheDa unhen bas khul gai gaThri malalon ki

gunahgar-e-mohabbat hain jidhar guzrenge mahshar mein

hamare sath sath ek bhiD hogi KHush-jamalon ki

farishton se 'hafiz' ek din lahad mein guftugu hogi

abhi se fikr lazim hai tumhein un ke sawalon ki

(827) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ada Pariyon Ki Surat Hur Ki Aankhen Ghazalon Ki In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Ada Pariyon Ki Surat Hur Ki Aankhen Ghazalon Ki is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Ada Pariyon Ki Surat Hur Ki Aankhen Ghazalon Ki for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Ada Pariyon Ki Surat Hur Ki Aankhen Ghazalon Ki in PDF.