Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ee87f187b80c9477427a498fbc5bb695, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aap Hi Se Na Jab Raha Matlab - Hafeez Jaunpuri Poetry In English - Darsaal

Aap Hi Se Na Jab Raha Matlab

aap hi se na jab raha matlab

phir raqibon se mujh ko kya matlab

aarzu mere dil ki bar aae

sab ka pura kare KHuda matlab

kar na mujh ko subuk raqibon mein

yun hansi mein na to uDa matlab

ruk gai baat ta-zaban aa kar

dil ka dil hi mein rah gaya matlab

zid hi zid shaiKH o barhaman ki thi

warna donon ka ek tha matlab

meri ek baat mein hain sau pahlu

aur sab ka juda juda matlab

ghair ki aur is qadar tarif

hum samajhte hain aap ka matlab

agli baaton ka zikr jaane do

aaj is tazkire se kya matlab

KHush ho na-faham bhi samajh ke 'hafiz'

saf aisa ho sher ka matlab

(822) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aap Hi Se Na Jab Raha Matlab In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Aap Hi Se Na Jab Raha Matlab is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Aap Hi Se Na Jab Raha Matlab for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Aap Hi Se Na Jab Raha Matlab in PDF.