Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f44d91469e6afc15cf35beff17a13a15, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aaghaz-e-mohabbat Mein Barson Yun Zabt Se Humne Kaam Liya - Hafeez Jaunpuri Poetry In English - Darsaal

Aaghaz-e-mohabbat Mein Barson Yun Zabt Se Humne Kaam Liya

aaghaz-e-mohabbat mein barson yun zabt se hum ne kaam liya

jab huk kaleje mein uTThi to hathon se dil tham liya

us rashk ke hathon ek na ek har rose hi dagh uThate rahe

hum choT jigar par kha baiThe jab ghair ne tera nam liya

aankhen wo jhuken milte milte rahe hosh-o-KHirad jate jate

kuchh sharm ne un ko rok liya kuchh zabt ne hum ko tham liya

insan ki thi ye tab-o-tawan jo bar-e-mohabbat uTha sakta

ek ye bhi hai ehsan tera kya us se tu ne kaam liya

sahra mein ThanDe waqt hamein yaad aai jo us ki jalwagari

kuchh aisi hui wahshat dil ko dam ja ke zer-e-baam liya

aur us ke siwa kuchh kah na sake puchha jo kisi ne haal hai kya

aankhon se aansu bahne lage hathon se kaleja tham liya

luTa teri donon aankhon ne paya jo mere dil ko tanha

jo ek ne sabr shakeb liya to ek ne chain aaram liya

ab tak to KHabar li us ne meri jis waqt koi uftad paDi

jab Thokaren kha kar girne laga hath us ne lapak kar tham liya

hum laen kahan se wo aankhen jo tum ko pasheman dekh saken

ab kaisi nadamat jab hum ne sab apne sar ilzam liya

mahrumi-e-qismat kya kahiye ehsan kiya kab saqi ne

paimana-e-umr chhalak hi gaya jab hath mein apne jam liya

mauzun jo hue jazbaat-e-dil jab sher-e-'hafiz' paDha hum ne

sunte hi donon hathon se samea ne kaleja tham liya

(797) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaghaz-e-mohabbat Mein Barson Yun Zabt Se Humne Kaam Liya In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Aaghaz-e-mohabbat Mein Barson Yun Zabt Se Humne Kaam Liya is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Aaghaz-e-mohabbat Mein Barson Yun Zabt Se Humne Kaam Liya for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Aaghaz-e-mohabbat Mein Barson Yun Zabt Se Humne Kaam Liya in PDF.