Tauba-nama
uf wo rawi ka kinara wo ghaTa chhai hui
sham ke daman mein sabze par bahaar aai hui
wo shafaq ke baadalon mein nil-gun surKHi ka rang
aur rawi ki talai nuqrai lahron mein jang
shah-dare mein aam ke peDon pe koyal ki pukar
Daliyon par sabz patton surKH phulon ka nikhaar
wo gulabi aks mein Dubi hui chashm-e-hubab
aur nashe mein mast wo sarmast maujon ke raubab
wo hawa ke sard jhonke shoKHiyan karte hue
bin pie ba-mast kar dene ka dam bharte hue
dur se zalim papihe ki sada aati hui
pai-ba-pai kam-baKHt pi-pi kah kar uksati hui
aur wo main ThanDi ThanDi ret par baiTha hua
donon hathon se kaleja tham kar baiTha hua
shaiKH-sahib! sach to ye hai un dinon pita tha main
un dinon pita tha yani jin dinon jita tha mein
ab wo aalam hi kahan hai mai piye muddat hui
ab main tauba kya karun tauba kiye muddat hui
(1341) Peoples Rate This