Shaer
fitna-e-KHufta jagae us ghaDi kis ki majal
qaid hain shahzadiyan koi nahin pursan-e-haal
in gharibon ki madad par koi aamada nahin
ek shaer hai yahan lekin wo shahzada nahin
aahuon ki surmagin palken faza par hukmaran
chhai hain arz o sama par aahinin si jaliyan
dur se kohsar o wadi par ye hota hai guman
unT hain baiThe hue utra hua hai karwan
ya asar hain aasman-e-pir par barsat ke
KHema-e-bosida mein paiwand hain banat ke
aur is KHeme ke andar zindagi soi hui
tirgi soi hui tabindagi soi hui
ai 'hafiz' in nind ke maton ki manzil se nikal
kaam hai darpesh dam-e-dida-o-dil se nikal
dida-o-dil ko bhi ghaflat ke shabistan se nikal
ye jo KHamoshi ki zanjiren hain in ko toD Dal
subh karne ke liye phir haw-hu darkar hai
shukr kar soti hui duniya mein tu bedar hai
(1145) Peoples Rate This