Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8d74c04a9cac78420d9789845ade87b9, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Piye Ja - Hafeez Jalandhari Poetry In English - Darsaal

Piye Ja

sharab-KHana hai bazm-e-hasti

har ek hai mahw-e-aish-o-masti

maal-bini o mai-parasti

are ye zillat are ye pasti

shiar-e-rindana kar piye ja

agar koi tujh ko Tokta hai

sharab pine se rokta hai

samajh ise hosh mein nahin hai

KHirad ke aaghosh mein nahin hai

tu is se jhagDa na kar piye ja

KHayal-e-roz-e-hisab kaisa

sawab kaisa azab kaisa

bahisht o dozaKH ke ye fasane

KHuda ki baaten KHuda hi jaane

fuzul socha na kar piye ja

nahin jahan mein mudam rahna

to kis liye tishna-kaam rahna

uTha uTha han uTha subu ko

tamam duniya ki hao hu ko

ghariq-e-paimana kar piye ja

kisi se takrar kya zarurat

fuzul israr kya zarurat

koi piye to use pila de

agar na mane to muskura de

malal-e-asla na kar piye ja

tujhe samajhte hain ahl-e-duniya

KHarab KHasta zalil ruswa

nahin ayan un pe haal tera

koi nahin ham-KHayal tera

kisi ki parwa na kar piye ja

ye tujh par aawaze kasne wale

tamam hain mere dekhe bhaale

nahin mazaq un ko mai-kashi ka

ye KHun pite hain aadmi ka

tu un ka shikwa na kar piye ja

(1137) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Piye Ja In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Piye Ja is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Piye Ja for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Piye Ja in PDF.