Ek LaDki Shadan
ek laDki thi chhoTi si
dubli si aur moTi si
nannhi si aur munni si
bilkul hi than mathni si
us ke baal the kale se
sidhe ghunghrale se
munh par us ke lali si
chaTTi si maTyali si
us ki nak pakoDi si
nokili si chauDi si
aankhen kali nili si
surKH safed aur pili si
kapDe us ke thaile se
ujle se aur maile se
ye laDki thi bholi si
bi bi si aur goli si
har dam khel tha kaam us ka
shadan bi-bi nam tha us ka
hansti thi aur roti thi
jagti thi aur soti thi
har dam us ki amman-jaan
khincha karti us ke kan
kahti thin maktab ko ja
khelon mein mat waqt ganwa
ammi sab kuchh kahti thi
shadan khelti rahti thi
ek din shadan khel mein thi
aae us ke abba ji
wo lahore se aae the
chizen wizen lae the
box mein thin ye chizen sab
KHair tamasha dekho ab
abba ne aate hi kaha
shadan aa kuchh paDh ke suna
gum thi ek muddat se kitab
kya deti is waqt jawab
do bahnen thin shadan ki
chhoTi nannhi munni si
nam tha manjhli ka siman
guDiya si nannhi nadan
wo boli ai abba ji
ab to paDhti hun main bhi
billi hai c a T cat
chuha hai r a T rat
munh mouth hai nak hai nose
aur gulab ka phul hai rose
main ne abba ji dekha
KHub sabaq hai yaad kiya
shadan ne us waqt kaha
main ne hi to sikhaya tha
lekin abba ne chup chap
khola box ko uTh kar aap
is mein jo chizen niklen
sari siman ko de den
ek chini ki guDiya thi
ek jadu ki puDiya thi
ek nannhi si thi motor
aap hi chalti thi far-far
gendon ka ek joDa tha
ek lakDi ka ghoDa tha
ek siTi thi ek baja
ek tha miTTi ka raja
shadan ko kuchh bhi na mila
yani khel ki pai saza
ab wo ghaur se paDhti hai
pure taur se paDhti hai
(2122) Peoples Rate This