Abhi To Main Jawan Hun
hawa bhi KHush-gawar hai
gulon pe bhi nikhaar hai
tarannum-e-hazar hai
bahaar pur-bahaar hai
kahan chala hai saqiya
idhar to lauT idhar to aa
are ye dekhta hai kya
uTha subu subu uTha
subu uTha pyala bhar
pyala bhar ke de idhar
chaman ki samt kar nazar
saman to dekh be-KHabar
wo kali kali badliyan
ufuq pe ho gain ayan
wo ek hujum-e-mai-kashan
hai su-e-mai-kada rawan
ye kya guman hai bad-guman
samajh na mujh ko na-tawan
KHayal-e-zohd abhi kahan
abhi to main jawan hun
ibaadaton ka zikr hai
najat ki bhi fikr hai
junun hai sawab ka
KHayal hai azab ka
magar suno to shaiKH ji
ajib shai hain aap bhi
bhala shabab o aashiqi
alag hue bhi hain kabhi
hasin jalwa-rez hon
adaen fitna-KHez hon
hawaen itr-bez hon
to shauq kyun na tez hon
nigar-ha-e-fitnagar
koi idhar koi udhar
ubhaarte hon aish par
to kya kare koi bashar
chalo ji qissa-muKHtasar
tumhaara nuqta-e-nazar
durust hai to ho magar
abhi to main jawan hun
ye gasht kohsar ki
ye sair ju-e-bar ki
ye bulbulon ke chahchahe
ye gul-ruKHon ke qahqahe
kisi se mel ho gaya
to ranj o fikr kho gaya
kabhi jo baKHt so gaya
ye hans gaya wo ro gaya
ye ishq ki kahaniyan
ye ras bhari jawaniyan
udhar se mehrbaniyan
idhar se lan-taraniyan
ye aasman ye zamin
nazara-ha-e-dil-nashin
inhen hayat-afrin
bhala main chhoD dun yahin
hai maut is qadar qarin
mujhe na aaega yaqin
nahin nahin abhi nahin
abhi to main jawan hun
na gham kushud o bast ka
buland ka na past ka
na bud ka na hast ka
na wada-e-alast ka
ummid aur yas gum
hawas gum qayas gum
nazar se aas pas gum
hama-bajuz gilas gum
na mai mein kuchh kami rahe
qadah se hamdami rahe
nashist ye jami rahe
yahi hama-hami rahe
wo rag chheD mutriba
tarab-faza, alam-ruba
asar sada-e-saz ka
jigar mein aag de laga
har ek lab pe ho sada
na hath rok saqiya
pilae ja pilae ja
abhi to main jawan hun
(2396) Peoples Rate This