Ye Kya Maqam Hai Wo Nazare Kahan Gae
ye kya maqam hai wo nazare kahan gae
wo phul kya hue wo sitare kahan gae
yaran-e-bazm jurat-e-rindana kya hui
un mast ankhDiyon ke ishaare kahan gae
ek aur daur ka wo taqaza kidhar gaya
umDe hue wo hosh ke dhaare kahan gae
uftad kyun hai laghzish-e-mastana kyun nahin
wo uzr-e-mai-kashi ke sahaare kahan gae
dauran-e-zalzala jo panah-e-nigah the
leTe hue the panw pasare kahan gae
bandha tha kya hawa pe wo ummid ka tilism
rangini-e-nazar ke ghubare kahan gae
uTh uTh ke baiTh baiTh chuki gard rah ki
yaro wo qafile thake haare kahan gae
har mir-e-karwan se mujhe puchhna paDa
sathi tere kidhar ko sidhaare kahan gae
farma gae the rah mein baiTh intizar kar
aae nahin palaT ke wo pyare kahan gae
tum se bhi jin ka ahd-e-wafa ustuwar tha
ai dushmanon wo dost hamare kahan gae
kashti nai bani ki uTha le gaya koi
taKHte jo lag gae the kinare kahan gae
ab Dubton se puchhta phirta hai naKHuda
jin ko laga chuka hun kinare kahan gae
betab tere dard se the chaaragar 'hafiz'
kya jaaniye wo dard ke mare kahan gae
(1217) Peoples Rate This