Ye Aur Daur Hai Ab Aur Kuchh Na Farmae
ye aur daur hai ab aur kuchh na farmae
magar 'hafiz' ko ye baat kaun samjhae
wafa ka josh to karta chala gaya madhosh
qadam qadam pe mujhe dost hosh mein lae
pari-ruKHon ki zaban se kalam sun ke mera
bahut se log meri shakl dekhne aae
bahisht mein bhi mila hai mujhe azab-e-shadid
yahan bhi maulwi-sahab hain mere ham-sae
azab-e-qabr se bad-tar sahi hayat-e-'hafiz'
ye jabr hai to ba-juz-sabr kya kiya jae
(1350) Peoples Rate This