Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_34f1c853146d2da258939c5ad55b2703, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Nigah-e-arzu-amoz Ka Charcha Na Ho Jae - Hafeez Jalandhari Poetry In English - Darsaal

Nigah-e-arzu-amoz Ka Charcha Na Ho Jae

nigah-e-arzu-amoz ka charcha na ho jae

shararat sadgi hi mein kahin ruswa na ho jae

unhen ehsas-e-tamkin ho kahin aisa na ho jae

jo hona ho abhi ai jurat-e-rindana ho jae

ba-zahir sadgi se muskura kar dekhne walo

koi kam-baKHt na-waqif agar diwana ho jae

bahut hi KHub shai hai iKHtiyari shan-e-KHuddari

agar mashuq bhi kuchh aur be-parwa na ho jae

irade bandhta hun sochta hun toD deta hun

kahin aisa na ho jae kahin waisa na ho jae

ilahi dil-nawazi phir karen wo mai-farosh aankhen

ilahi ittihad-e-shisha-o-paimana ho jae

meri ulfat tajjub ho gai tauba maaz-allah

ki munh se bhi na nikle baat aur afsana ho jae

ye tanhai ka aalam chand taron ki ye KHamoshi

'hafiz' ab lutf hai ek nara-e-mastana ho jae

(1720) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nigah-e-arzu-amoz Ka Charcha Na Ho Jae In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Nigah-e-arzu-amoz Ka Charcha Na Ho Jae is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Nigah-e-arzu-amoz Ka Charcha Na Ho Jae for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Nigah-e-arzu-amoz Ka Charcha Na Ho Jae in PDF.