Na Kar Dil-jui Ai Sayyaad Meri

na kar dil-jui ai sayyaad meri

ki fitrat hai bahut aazad meri

asiri se rihai pane walo

tumhein pahunche mubarakbaad meri

sahaara kyun liya tha naKHuda ka

KHuda bhi kyun kare imdad meri

bhula do mujh ko lekin yaad rakhna

sataegi tumhein bhi yaad meri

farishte kya murattab kar sakenge

bahut be-rabt hai rudad meri

pasand aane lagi thi sar-bulandi

yahi thi awwalin uftad meri

kya paband-e-nai nale ko main ne

ye tarz-e-KHas hai ijad meri

mere ashaar par chup rahne wale

tere hisse mein aai dad meri

qaza ka zulm had se baDh gaya hai

koi sunta nahin fariyaad meri

KHudawanda qaza ne chhin li hai

mere aaghosh se 'irshad' meri

(916) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Kar Dil-jui Ai Sayyaad Meri In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Na Kar Dil-jui Ai Sayyaad Meri is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Na Kar Dil-jui Ai Sayyaad Meri for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Na Kar Dil-jui Ai Sayyaad Meri in PDF.