Mazhaka Aao UDaen Ishq-e-be-buniyaad Ka

mazhaka aao uDaen ishq-e-be-buniyaad ka

ek juda madfan banaen tesha-e-farhad ka

wah-wah kya rang badla gulshan-e-ijad ka

saya-e-gul par guman hone laga sayyaad ka

bah chala hai ashk-e-hasrat al-madad ai barq-e-yas

ye bhi ek dana hai mere KHirman-e-barbaad ka

kis nigah-e-garm se dekha hai us ne waqt qatl

aah ThanDi paD gai dam ghuT gaya fariyaad ka

ghuncha ghuncha KHauf se mujh ko nazar aaya qafas

patte patte par hua dhoka kaf-e-saiyaad ka

ye samajh lije kisi shaer ke dil ka TuTna

TuT jaana hai tilism-e-alam-e-ijad ka

ho na ehsas-e-asiri to rihai hai muhaal

aaise qaidi nam tak lete nahin miad ka

zoaf ki ye himmaten hain na-tawani ka ye zor

TukDe TukDe kar diya daman meri fariyaad ka

us suKHnawar se mujhe faiz-e-suKHan hai ai 'hafiz'

nam-e-nami hai girami jis jahan ustad ka

(950) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mazhaka Aao UDaen Ishq-e-be-buniyaad Ka In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Mazhaka Aao UDaen Ishq-e-be-buniyaad Ka is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Mazhaka Aao UDaen Ishq-e-be-buniyaad Ka for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Mazhaka Aao UDaen Ishq-e-be-buniyaad Ka in PDF.