Koi Chaara Nahin Dua Ke Siwa
koi chaara nahin dua ke siwa
koi sunta nahin KHuda ke siwa
mujh se kya ho saka wafa ke siwa
mujh ko milta bhi kya saza ke siwa
bar-sar-e-sahil murad yahan
koi ubhra hai naKHuda ke siwa
koi bhi to dikhao manzil par
jis ko dekha ho rahnuma ke siwa
dil sabhi kuchh zaban par laya
ek faqat arz-e-muddaa ke siwa
koi raazi na rah saka mujh se
mere allah teri raza ke siwa
but-kade se chale ho kabe ko
kya milega tumhein KHuda ke siwa
doston ke ye muKHlisana tir
kuchh nahin meri hi KHata ke siwa
mehr o mah se buland ho kar bhi
nazar aaya na kuchh KHala ke siwa
ai 'hafiz' aah aah par aaKHir
kya kahen dost wah wa ke siwa
(1243) Peoples Rate This