Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c819307ea31a0d8a85d2a8be4643448d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kisi Ke Ru-ba-ru BaiTha Raha Main Be-zaban Ho Kar - Hafeez Jalandhari Poetry In English - Darsaal

Kisi Ke Ru-ba-ru BaiTha Raha Main Be-zaban Ho Kar

kisi ke ru-ba-ru baiTha raha main be-zaban ho kar

meri aankhon se hasrat phuT nikli dastan ho kar

KHuda-hafiz kisi ke raaz-e-ulfat ka KHuda-hafiz

KHayal aate hi ab to dil dhaDakta hai fughan ho kar

piya aab-e-baqa ai KHizr ab tasir bhi dekho

qayamat tak raho paband umr-e-jawedan ho kar

yakayak wo mariz-e-gham ki surat ka badal jaana

wo ro dena kisi na-mehrban ka mehrban ho kar

kitab-e-dahr ka dilchasp TukDa hai meri hasti

mujhe dekho ki baiTha hun mujassam dastan ho kar

suna hai is taraf se bhi janab ishq guzrenge

meri hasti na uD jae ghubar-e-karwan ho kar

(1158) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Ke Ru-ba-ru BaiTha Raha Main Be-zaban Ho Kar In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Kisi Ke Ru-ba-ru BaiTha Raha Main Be-zaban Ho Kar is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Kisi Ke Ru-ba-ru BaiTha Raha Main Be-zaban Ho Kar for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Kisi Ke Ru-ba-ru BaiTha Raha Main Be-zaban Ho Kar in PDF.