Kal Zarur Aaoge Lekin Aaj Kya Karun
kal zarur aaoge lekin aaj kya karun
baDh raha hai qalb ka iKHtilaj kya karun
kya karun koi nahin ehtiyaj dost ko
aur mujh ko dost ki ehtiyaj kya karun
ab wo fikrmand hain kah diya tabib ne
ishq hai junun nahin main ilaj kya karun
ghairat-e-raqib ka shikwa kar rahe ho tum
is muamle mein saKHt hai mizaj kya karun
ma-siwa-e-ashiqi aur kuchh kiya bhi ho
sujhta hi kuchh nahin kaam-kaj kya karun
mahw-e-kar-e-den hun main boriya-nashin hun main
rahzan nahin hun main taKHt-o-taj kya karun
zor aur zar baghair ishq kya karun 'hafiz'
chal gaya hai mulk mein ye riwaj kya karun
(1140) Peoples Rate This