Jalwa-e-husn Ko Mahrum-e-tamashai Kar
jalwa-e-husn ko mahrum-e-tamashai kar
be-niyazi sifat-e-lala-e-sahrai kar
han baDe shauq se shamshir ke eajaz dikha
han baDe shauq se dawa-e-masihai kar
main to majbur hun aadat se kahe jaunga
tu koi baat na sun aur na pazirai kar
apne bimar ki ye aaKHiri ummid bhi dekh
malak-ul-maut se kahta hai masihai kar
mujh ko le ja ke dar-e-yar pe qasid ne kaha
KHama-farsai na kar nasiya-farsai kar
hum teri surat-e-inkar ko pahchante hain
wo tabassum tu sharik-e-lab-e-goyai kar
(1149) Peoples Rate This