Ishq Ne Husn Ki Be-dad Pe Rona Chaha
ishq ne husn ki be-dad pe rona chaha
tuKHm-e-ehsas-e-wafa sang mein bona chaha
aane wale kisi tufan ka rona ro kar
na-KHuda ne mujhe sahil pe Dubona chaha
sang-dil kyun na kahen but-kade wale mujh ko
main ne patthar ka parastar na hona chaha
hazrat-e-shaiKH na samjhe mere dil ki qimat
le ke tasbih ke rishte mein pirona chaha
koi mazkur na tha ghair ka lekin tum ne
baaton baaton mein ye nashtar bhi chubhona chaha
dida-e-tar se bhi sarzad hua ek jurm-e-azim
hashr mein nama-e-amal ko dhona chaha
marte marte bhi tawaqqoa rahi dildari ki
rakh ke sar zanu-e-taqdir pe sona chaha
hae kis dard se ki zabt ki talqin mujhe
hans paDe dost jo main ne kabhi rona chaha
jins-e-shohrat bahut arzan thi magar main ne 'hafiz'
daulat-e-dard ko be-kar na khona chaha
(1195) Peoples Rate This