Ishq Mein ChheD Hui Dida-e-tar Se Pahle
ishq mein chheD hui dida-e-tar se pahle
gham ke baadal jo uThe to yahin par se pahle
ab jahannam mein liye jati hai dil ki garmi
aag chamki thi ye allah ke ghar se pahle
hath rakh rakh ke wo sine pe kisi ka kahna
dil se dard uThta hai pahle ki jigar se pahle
dil ko ab aankh ki manzil mein biTha rakkhenge
ishq guzrega isi rahguzar se pahle
wo har wade se inkar ba-tarz-e-iqrar
wo har ek baat pe han lfaz-e-magar se pahle
mere qisse pe wahi raushni Dale shayad
sham-e-kam-maya jo bujhti hai sahar se pahle
chaak-e-damani-e-gul ka hai gila kya bulbul
ki ulajhta hai ye KHud baad-e-sahar se pahle
kuchh samajhdar to hain nash uThane wale
le chale hain mujhe is rahguzar se pahle
dil nahin haarte yun bazi-e-ulfat mein 'hafiz'
khel aaghaz hua karta hai sar se pahle
(949) Peoples Rate This