Ishq Ke Hathon Ye Sari Aalam-arai Hui

ishq ke hathon ye sari aalam-arai hui

ishq ke hathon qayamat bhi hai ab aai hui

allah allah kya hua anjam-kar-e-arzu

tauba tauba kis qadar hangama-arai hui

kya hai mera hasil-e-gul-chini-e-bagh-e-jamal

aarzu ki chand kaliyan wo bhi murjhai hui

chhoD bhi ye silsila o na-murad-e-intizar

maut baiThi hai tere baalin ye uktai hui

shahr-e-mayusi mein ek chhoTi si ummid-e-visal

ajnabi ki shakl mein phirti hai ghabrai hui

kar liya hai aqd urdu-e-mualla se 'hafiz'

qila-e-dehli se aai thi ye Thukrai hui

(1009) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Ke Hathon Ye Sari Aalam-arai Hui In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Ishq Ke Hathon Ye Sari Aalam-arai Hui is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Ishq Ke Hathon Ye Sari Aalam-arai Hui for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Ishq Ke Hathon Ye Sari Aalam-arai Hui in PDF.