In Gesuon Mein Shana-e-arman Na Kijiye
in gesuon mein shana-e-arman na kijiye
KHun-e-jigar se dawat-e-mizhgan na kijiye
mar jaiye na kijiye zikr-e-bahisht-o-hur
ab KHwab ko bhi KHwab-e-pareshan na kijiye
baqi ho jo bhi hashr yahin par uThaiye
marne ke baad zist ka saman na kijiye
dozaKH ko dijiye na paragandagi meri
shiraaza-e-bahisht pareshan na kijiye
shayad yahi jahan kisi majnun ka ghar bane
virana bhi agar hai to viran na kijiye
kya naKHuda baghair koi Dubta nahin
mujh ko mere KHuda se pasheman na kijiye
hai but-kade mein bhi use iman ka KHayal
kyun e'tibar-e-mard-e-musalman na kijiye
hum se ye bar-e-lutf uThaya na jaega
ehsan ye kijiye ki ye ehsan na kijiye
aaina dekhiye meri surat na dekhiye
main aaina nahin mujhe hairan na kijiye
tu hi aziz-e-KHatir-e-ahbab hai 'hafiz'
kya kijiye agar tujhe qurban na kijiye
(970) Peoples Rate This