Husn Ne Sikhin Gharib-azariyan
husn ne sikhin gharib-azariyan
ishq ki majburiyan lachaariyan
bah gaya dil hasraton ke KHun mein
le gain bimar ko bimariyan
soch kar gham dijiye aisa na ho
aap ko karni paDen gham-KHwariyan
dar ke qadmon mein bhi pahunchi na aql
ishq hi ke sar rahin sardariyan
ek taraf jins-e-wafa qimat-tabal
ek taraf main aur meri nadariyan
hote hote jaan dubhar ho gai
baDhte baDhte baDh gain be-zariyan
tum ne duniya hi badal Dali meri
ab to rahne do ye duniya-dariyan
(1815) Peoples Rate This