Hum Hi Mein Thi Na Koi Baat Yaad Na Tumko Aa Sake
hum hi mein thi na koi baat yaad na tum ko aa sake
tum ne hamein bhula diya hum na tumhein bhula sake
tum hi na sun sake agar qissa-e-gham sunega kaun
kis ki zaban khulegi phir hum na agar suna sake
hosh mein aa chuke the hum josh mein aa chuke the hum
bazm ka rang dekh kar sar na magar uTha sake
raunaq-e-bazm ban gae lab pe hikayaten rahin
dil mein shikayaten rahin lab na magar hila sake
shauq-e-visal hai yahan lab pe sawal hai yahan
kis ki majal hai yahan hum se nazar mila sake
aisa ho koi nama-bar baat pe kan dhar sake
sun ke yaqin kar sake ja ke unhen suna sake
ijz se aur baDh gai barhami-e-mizaj-e-dost
ab wo kare ilaj-e-dost jis ki samajh mein aa sake
ahl-e-zaban to hain bahut koi nahin hai ahl-e-dil
kaun teri tarah 'hafiz' dard ke git ga sake
(1661) Peoples Rate This