Hai Azal Ki Is Ghalat BaKHshi Pe Hairani Mujhe
hai azal ki is ghalat baKHshi pe hairani mujhe
ishq la-fani mila hai zindagi fani mujhe
main wo basti hun ki yaad-e-raftagan ke bhes mein
dekhne aati hai ab meri hi virani mujhe
thi yahi tamhid mere matami anjam ki
phul hanste hain to hoti hai pashimani mujhe
husn be-parda hua jata hai ya rab kya karun
ab to karni hi paDi dil ki nigahbani mujhe
bandh kar roz-e-azal shiraaza-e-marg-o-hayat
saunp di goya do aalam ki pareshani mujhe
puchhta phirta tha danaon se ulfat ke rumuz
yaad ab rah rah ke aati hai wo nadani mujhe
(1364) Peoples Rate This