Dur Se Aankhen Dikhati Hai Nai Duniya Mujhe
dur se aankhen dikhati hai nai duniya mujhe
gulshan-e-hasti nazar aata hai ek sahra mujhe
aql ki wadi mein hun gum-karda-e-maqsud-e-ishq
DhunDhta hun aur nahin milta koi rasta mujhe
ye bhi ek dhoka tha nairang-e-tilism-e-aql ka
apni hasti par bhi hasti ka hua dhoka mujhe
shauq mera talib-e-didar ho jata agar
dekhta 'musa' mujhe sina mujhe jalwa mujhe
shaeri kya kafsh-e-bardar-e-girami hun 'hafiz'
be-kamali ke siwa koi nahin dawa mujhe
(1084) Peoples Rate This